Create new account

Qurtaba Audio Library ke rukniyat kay chand zabtay

aagay barnay say pehlay aap say guzarish hae keh bian karda tafsilat ore malumat koe sun ker zehan nasheen ker lain takay membership say, kitab kay hasool tak tamam marahil mae aap koe kisi kisam ke dushvari na paysh aay.
Behasiyat Qurtaba Audio Library kay ayk member keh aap per lazim ho ga keh marawaja qawaid koe sun ker achi terha samjain or in ke pabandi yaqeeni banain takay hamara or aap ka taluk mazboot ore dayr paa rahay.

Membership ka hasool:

1. Qurtaba Audio Library ke membership tamam beena or nabeena afrad hasil kar saktay hain.
2. Membership kay liay umar, taleem ore jins ke koi qaid nahi siraf aap ka ba-shaoor hona lazim hae.
3. Membership kay hasool kay liay aap kay dissability certificate ya dissability kay nishan valay National ID card ke copy faraham karna lazim hae (agar ap binai say mehroom nahi toe bhe apnay National ID card ke copy zaroor faraham karain).
4. Qurtaba Audio Library ke membership fees 1000 pakistani rupees hae joe keh siraf ayk dafa adda kerni hogi. Yad rahay keh membership manzoor hony k baad account activate ho janay par yeh fees na-qabal-e-wapsi hogi.
5. aap koe iss bat ka idraq hona chahiay keh aap kay diay gay 1000 rupees kisi bhe soorat mae kisi ayk bhe kitab ke tayyari per aanay vali mukammal lagat say ziada nahi ho saktay laykin yeh aap ke janib say shamil kerda un qatron may say zaroor hae jin say mil ker daria banta hae. iss liay zaroor koshish karain keh khudh bhe fees day ker membership hasil karain or apnay ahbaab koe bhe zaroor iss ke talkeen karain takay roshni kay iss minar ke tameer mae apna apna hissa dal sakain.
6. agar aap student han ya bay-rozgar han or kisi vajha say membership fees adda nahi ker saktay toe apna masla bata ker muft membership bhe hasil ke ja sakti hai [yay sahoolat sirf basarat say mehroom afrad k liay mooyaser ho gi].
7. Membership form may darkar tamam malumat darust or mukamal tehreer karain. aap ke malumat ke mukamil razdari hamari awaleen zimaydari hae.
8. Membership form submit kernay kay bad hamari team us form kee janch partal karay ghi or form ke darustgi ke soorat mae zaroori karwai muqamil honay kay bad aap koe membership ka ajra ker dia jai ga.
9. membership form mae kisi kisam ke ghalti ke soorat mae form ke mukammal darustgi kay bad he membership process start hoga.
10. Membership form fill kernay kay bad aap 15 days kay andar intizamia say rabta ker kay zaroori process complete honay kay bad apna account activate kerva sakain gay, dair ke soorat mae aap koe dobara form fill kerna hoga.
11. membership kay ajra kay bad aap ka user account active hoe jai ga or aap user name ore password enter kernay kay bad account koe login ker sakain gay.
12. intazamia koe yeh haq hasil hae keh vo kisi bhe soorat mae baghayr vajha batai aap ke membership ke application koe rad ker sakti hae. Yad rahay aysa siraf intahai nagozeer halat kay paysh-e-nazar he kia jai ga.

Library ka isstmal:

1. aap koe ayk account kay sath siraf ayk he mobile ya computer device istimal kernay ke ijazat hogi iss liay aap say request hae keh siraf uss device per aap apna account login karain joe device mustqil aap kay istimal mae hoe. device tabdeel honay ke soorat mae intazamia koe request ker keh device change kervai ja sakti hae.
2. Aap apna account kisi dusray fard kay sath share nahi kerain gay ayk account sirf ayk fard kay he istimal mae reh sakta hae.
3. aap Library say ayk haftay(7 days) mae ziada say ziada 5 kutab tak download ker sakain gay jaldi limit khatam honay ke soorat mae aap hafta complete honay kay bad he mazeed kutab download ker sakain gay.
4. Library mae mojood tamam kutab Qurtaba Audio Library ke malkiyat han lihaza in kutab ke kisi bhe qisam ke tarseel kanooni or akhlaqi jurm hay.
5. aap ke yeh akhlaqi zimaydari hogi keh kutab koe sun ker apnay paas mehfooz kernay ke bajai apni device say mita dain.
6. Library ke tamam kutab aap kay paas amanat kay tor per hongi iss liay aap ke yeh bhe ikhlaqi zemaydari hogi keh aap kisi bhe soorat mae Library ke koi bhe kitab baghayr intizamia ke ijazat kisi bhe aysay fard say shair nahi karain gay joe fard Qurtaba Audio Library ka mustaqil member na ho.
7. Tamam qawid nazam ko ap k leyay ziada say ziada mefooz or mufeed bananay kee gharaz say tashkeel deyay jatay hayn jin kee khalaf warzi par intzameia rukneiat kee mansooki samayt har tara kee qanooni karwai ka hak mehfooz rakhti hay.
8. agar aap kay ilam mae koi aysa fard ya platform jaysa keh Youtube channal ya koi bhe dusri website vaghayra ho joe Qurtaba ke kutab bayghayr ijazat kay dusray afrad say share ya publish ker rahi hoe toe aysay fard kay baray mae intizamia koe zaroor mutla karain takay iss koe roka ja sakay.( aysi soorat mae aap kay naam koe raz mae rakha jai ga)
9. Yaad rahay keh aap ke adda kerda fees siraf library ke rukniyat kay liay hogi takay aap kutab say mustfeed ho sakain iss mae kisi bhe kisam kay dusray wajbat jaysa keh kutab ke qeemat ya recording waghayra ke adaigi shamil nahi. yeh kutab aap koe amanat kay tor per dee jati han.
10. Intazamia koe yeh haq hasil hae keh vo kisi bhe vajha say aap ka account cancel ker sakti hae laykin aysa siraf naguzeer halat kay waqt he kia jai ga.

kisi bhe qisam ke malumat ya dushvari ke soorat mae hamaray number +923067878222 per call ya whatsap kay zariay rabta karain.
Agar aap mundarja bala qawaid-o-zawabat say muttafiq han toe darj zail form koe muqamil ker kkeh submit ker dain or kisi bhe kisam kay ikhtilaf ke soorat mae aap ba-khushi yeh form fill na karain. Shukriya.
hum library say mutaliq aap ke tajaveez kay muntazir rahain gay.

You are not logged in.
You may login with either your assigned username or your e-mail address.
The password field is case sensitive.